Thursday, July 7, 2011

Phir Mohabbat "Sambhal ja zara Phir mohabbat Karne chala hai tu Dil.."

Phir Mohabbat



Jab jab tere paas main aaya
Ik sukoon mila..
Jise main tha bhoolta aaya
Woh wajood mila..
Jab aaye mausam gham ke
Tujhe yaad kiya

Ho.
Jab sehme tanhapan se
Tujhe yaad kiya

Hmm.. dil..
Sambhal ja zara
Phir mohabbat
Karne chala hai tu
Dil.. yahin ruk jaa zara
Phir mohabbat
Karne chala hai tu

Aisa kyun kar hua
Janu naa
Main janu naa
O..o..

Dil.. sambhal ja zara
Phir mohabbat
Karne chala hai tu
Dil.. yahin ruk jaa zara
Phir mohabbat
Karne chala hai tu

Jis raah pe
Hai ghar tera
Aksar wahan se
Haan main hoon guzra
shayad yahi
Dil mein raha
Tu mujh ko mil jaye
Kya pata

Kya hai yeh silsala
Janu naa
Main janu naa
O..o..

Dil.. sambhal ja zara
Phir mohabbat
Karne chala hai tu
Dil.. yahin ruk jaa zara
Phir mohabbat
Karne chala hai tu

Kuch bhi nahi
Jab darmiyan
Phir kyun hai dil
Tere hi khwaab bunta
Chaha ki de
Tujhko bhula
Par yeh bhi mumkin
Ho na sakaa.. aaaaaa.

Kya hai yeh maamla
Janu naa
Main janu naa..

Dil.. sambhal ja zara
Phir mohabbat
Karne chala hai tu
Dil.. yahin ruk jaa zara
Phir mohabbat
Karne chala hai tu

Dil.. sambhal ja zara
Phir mohabbat
Karne chala hai tu

Wednesday, June 8, 2011

Jiyein Kyun---> "Na aaye ho, na aaoge, na phone pe bulaoge"

Na aaye ho, na aaoge, na phone pe bulaoge
Na shaam ki karaari chai, labhon se yun pilaoge
Na aaye ho, na aaoge, na din dhale sataoge
Na raat ki nashili bye se neendh mein jagaoge
Gaye tum gaye ho kyun, yeh raat baaki hai
Gaye tum gaye ho kyun, saath baaki hai
Gaye tum gaye hum tham gaye har baat baaki hai
Gaye kyun toh jiyein kyun

Na aaye ho, na aaoge, na dooriyaan dhikhaoge
Na thaam ke woh josh mein yun hosh se udaoge
Na aaye ho, na aaoge, na jhoot se sunaoge
Na rooth ke sihane mein, remote ko chupaoge
Gaye tum gaye ho kyun, yeh raat baaki hai
Gaye tum gaye ho kyun, saath baaki hai
Gaye tum gaye hum tham gaye har baat baaki hai
Gaye kyun toh jiyein kyun

Aankh bhi tham gayi, na thaki
Raat bhi na bhati, na kati
Raat bhi cherti marrti
Neendh bhi lutt gayi, chiin gayi
Raat bhi na sahi, na rahi
Raat bhi laazmi, zaalmi
Gaye tum gaye ho kyun, yeh raat baaki hai
Gaye tum gaye ho kyun, saath baaki hai
Gaye tum gaye hum tham gaye har baat baaki hai
Gaye kyun toh jiyein kyun
Gaye kyun toh jiyein kyun

Na aaye ho, na aaoge, na phone pe bulaoge
Na shaam ki karaari chai, labhon se yun churaoge

Wednesday, March 9, 2011

Ab duniya se shikwa nahi hai

Ab duniya se shikwa nahi hai
Na raha ab zindagi se gila
Kis ka karam hai, kis ki dua hai
Ya naseebon se tu mujh ko mila

Ab jo mile ho, door na jaana
Tere bina dil lagta nahi

Mera jeena hain kya, marna hai kya,
jab saath tera nahi Paake rab kya karun,
jab tu hi mera nahi Mera jeena hain kya,
marna hai kya, jab saath tera nahi Paake rab kya karun,
jab tu hi mera nahi

I never gonna live without you baby now
You'll be only one who'll always be my fantasy You'll be only one to make me reach my ecstasy I don't want nobody else but you I'm lovin' you, I'm lovin' you

Berang se din the, tanha thi raatein
Kuch na badalta, jo tum na aate
Berang se din the, tanha thi raatein

Kuch na badalta, jo tum na aate
Kehne ko yun toh rishte kayi hain
Rishton mein koi apna nahi

Mera jeena hai kya, marna hai kya,
jab saath tera nahi Paake rab kya karun,
jab tu hi mera nahi Mera jeena hai kya,
marna hai kya, jab saath tera nahi Paake rab kya karun,
jab tu hi mera nahi

Kyun chup gaya hai, akhiyon ko neechay
Sharm-o-haya ke pardon ke peechay
Kyun chup gaya hai, akhiyon ko neechay
Sharm-o-haya ke pardon ke peechay
Apne sanam se parda hai kaisa
Jab ke khuda se parda nahi.....

Mera jeena hai kya, marna hai kya,
jab saath tera nahi Paake rab kya karun,
jab tu hi mera nahi Mera jeena hai kya,
marna hai kya, jab saath tera nahi Paake rab kya karun,
jab tu hi mera nahi

Ab duniya se shikwa nahi hai
Na raha ab zindagi se gila
Kis ka karam hai, kis ki dua hai
Ya naseebon se tu mujh ko mila
Ab jo mile ho, door na jaana
Tere bina dil lagta nahi.....

Mera jeena hai kya, marna hai kya, jab saath tera nahi Paake rab kya karun, jab tu hi mera nahi Mera jeena hai kya, marna hai kya, jab saath tera nahi Paake rab kya karun, jab tu hi mera nahi...